Kaash tumko vo bata pata..Kaash tumse kuch mai keh pata..Har roz sochta tha aaj bol dunga..Apne dil ke saare raaz ab khol dunga..
Dur se aata dekh tumko sehem sa mein jaata tha..Aaj nahi kal kahunga yahi soch mai roj reh jaata tha..
Peekar bhi madhosh main ab nahi ho pata hun..Tujhe dekhkar ab hosh mein main reh nahi pata hun..
Teri yaadon ko chodkar aage badna bhi chahata hun..
Par apne prem se seenche teri yaadon ke us vraksh ke neechey khelna bhi main hi chahata hun..
Us vraksh ke neechey khel kar apni Tamannaon ki shaaamon ko rangeen main bana leta hun..
Teri yaadon ko apne jeene ka sahara ab main bana leta hun..
Maana lagane ko naya ped raazi main ho gaya hun..Par kaatne ko vo ped baagi bhi main hi ho gaya hun..
Ab to teri yaadon ke saath jeene ka aadi bhi main hi ho gaya hun..
Likhna to tere baare mein kitaab main chahata hun..Par aaj chor kar is kisse ko yahin..Tujhe bhi sochne ke liye waqt main de jata hun..
p.s - readers can title it

